dekhna ho gar bana kar kanch ka ghar dekhna
dekhnā ho gar banā kar kāñch kā ghar dekhnā
kaun barsātā hai kis jānib se patthar dekhnā
merī palkoñ par aTī hai gard ranj-o-karb kī
dard āñkhoñ meñ samāyā hai samundar dekhnā
apnī ḳhāmushī banegī jab fasāna ai nadīm
log hāthoñ meñ liye ā.eñge patthar dekhnā
maiñ hī ik hairāñ nahīñ huuñ dam-ba-ḳhud haiñ sab yahāñ
qaum ko le jā.eñge kis samt rahbar dekhnā
aap apne vāste rakh leñ charāġh-e-ārzī
bas mirā sheva hai zulmat meñ utar kar dekhnā
hai vafāoñ par bharosa rañg lā.eñgī zarūr
jaag uTThegā kabhī merā muqaddar dekhnā
ḳhatm ḳhūn-e-dil huā kaise bhareñ rañg-e-vafā
kyā banā pā.eñge ham tasvīr-e-dilbar dekhnā
zāviye apnī uḌānoñ ke badalne lag ga.e
kaun dam letā hai 'mohsin' ab kahāñ par dekhnā
dekhna ho gar bana kar kanch ka ghar dekhna
kaun barsata hai kis jaanib se patthar dekhna
meri palkon par aTi hai gard ranj-o-karb ki
dard aankhon mein samaya hai samundar dekhna
apni KHamushi banegi jab fasana ai nadim
log hathon mein liye aaenge patthar dekhna
main hi ek hairan nahin hun dam-ba-KHud hain sab yahan
qaum ko le jaenge kis samt rahbar dekhna
aap apne waste rakh len charagh-e-arzi
bas mera shewa hai zulmat mein utar kar dekhna
hai wafaon par bharosa rang laengi zarur
jag uTThega kabhi mera muqaddar dekhna
KHatm KHun-e-dil hua kaise bharen rang-e-wafa
kya bana paenge hum taswir-e-dilbar dekhna
zawiye apni uDanon ke badalne lag gae
kaun dam leta hai 'mohsin' ab kahan par dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.