dekhna husn-e-talab kya mangne aaya hun main
dekhnā husn-e-talab kyā māñgne aayā huuñ maiñ
ik mohabbat kī nazar bas pyaar kā bhūkā huuñ maiñ
apnī hastī kī ḳhabar hai jāntā huuñ kyā huuñ maiñ
ek musht-e-ḳhāk huuñ simTā huā sahrā huuñ maiñ
jis ke ik jalve ne dīvāna banāyā hai mujhe
us but-e-bedād-gar ko DhūñDhtā phirtā huuñ maiñ
aap ne apnā liyā to vāsta duniyā se kyā
merī duniyā aap haiñ aur aap kī duniyā huuñ maiñ
ġhair to kahte raheñge ḳhair jaane dījiye
Thiik kahte haiñ burā huuñ kyā kahūñ achchhā huuñ maiñ
raat din jo ātish-e-furqat meñ jaltā huuñ 'kañval'
ḳhuub un kī bevafā.ī kā mazā letā huuñ maiñ
dekhna husn-e-talab kya mangne aaya hun main
ek mohabbat ki nazar bas pyar ka bhuka hun main
apni hasti ki KHabar hai jaanta hun kya hun main
ek musht-e-KHak hun simTa hua sahra hun main
jis ke ek jalwe ne diwana banaya hai mujhe
us but-e-bedad-gar ko DhunDhta phirta hun main
aap ne apna liya to wasta duniya se kya
meri duniya aap hain aur aap ki duniya hun main
ghair to kahte rahenge KHair jaane dijiye
Thik kahte hain bura hun kya kahun achchha hun main
raat din jo aatish-e-furqat mein jalta hun 'kanwal'
KHub un ki bewafai ka maza leta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.