dekhna ye ishq mein husn-e-pazirai ke rang
dekhnā ye 'ishq meñ husn-e-pazīrā.ī ke rang
anjuman-dar-anjuman hoñ merī tanhā.ī ke rang
dil ke har goshe meñ jal uTThe haiñ zaḳhmoñ ke charāġh
allāh allāh ik masīhā kī masīhā.ī ke rang
is adā se aa ga.e haiñ vo nazar ke rū-ba-rū
aur gahre ho ga.e is dil kī bīnā.ī ke rang
ho sadāqat kā jo dā'vā dekh le jī aa.ina
aa.ine hī meñ nazar aate haiñ sachchā.ī ke rang
har dar-o-dīvār par likkhā huā hai merā naam
vaj.h-e-shohrat ban ga.e haiñ kitne rusvā.ī ke rang
har nazar apnī jagah ḳhud ek jalva ban ga.ī
chhā ga.e aise tumhārī jalva-ārā.ī ke rang
der tak 'aḳhgar' dar-e-jāñ par charāġhoñ kī tarah
raushnī dete rahe merī jabīñ-sā.ī ke rang
dekhna ye 'ishq mein husn-e-pazirai ke rang
anjuman-dar-anjuman hon meri tanhai ke rang
dil ke har goshe mein jal uTThe hain zaKHmon ke charagh
allah allah ek masiha ki masihai ke rang
is ada se aa gae hain wo nazar ke ru-ba-ru
aur gahre ho gae is dil ki binai ke rang
ho sadaqat ka jo da'wa dekh le ji aaina
aaine hi mein nazar aate hain sachchai ke rang
har dar-o-diwar par likkha hua hai mera nam
wajh-e-shohrat ban gae hain kitne ruswai ke rang
har nazar apni jagah KHud ek jalwa ban gai
chha gae aise tumhaari jalwa-arai ke rang
der tak 'aKHgar' dar-e-jaan par charaghon ki tarah
raushni dete rahe meri jabin-sai ke rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.