dekhne ko koi tayyar nahin hai bhai
dekhne ko koī tayyār nahīñ hai bhaa.ī
dasht bhī be-dar-o-dīvār nahīñ hai bhaa.ī
aisā bhī sidq-o-safā kā nahīñ da.avā ham ko
zindagī shaiḳh kī dastār nahīñ hai bhaa.ī
pāk-bāzoñ kī ye bastī hai farishtoñ kā nagar
koī is shahr meñ mai-ḳhvār nahīñ hai bhaa.ī
ishq karnā hai to chhuTTī nahīñ karnī koī
ishq meñ ek bhī itvār nahīñ hai bhaa.ī
dekhne ko koi tayyar nahin hai bhai
dasht bhi be-dar-o-diwar nahin hai bhai
aisa bhi sidq-o-safa ka nahin dawa hum ko
zindagi shaiKH ki dastar nahin hai bhai
pak-bazon ki ye basti hai farishton ka nagar
koi is shahr mein mai-KHwar nahin hai bhai
ishq karna hai to chhuTTi nahin karni koi
ishq mein ek bhi itwar nahin hai bhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.