dekhne mein to lagte hain insan se
dekhne meñ to lagte haiñ insān se
be-ḳhabar haiñ sab apnī hī pahchān se
hai tujhe yaad karne kī ḳhvāhish bahut
dil jo ġhāfil kabhī ho tire dhyān se
dushmanī kā koī dāv-kārī nahīñ
jiit lete haiñ dushman ko ehsān se
dil meñ shafqat ho chāhat ho iḳhlās ho
ghar kā matlab nahīñ sāz-o-sāmān se
yuuñ sar-e-rāh un se taqābul huā
jaise miltā hai anjān anjān se
ghar se bāhar to the mutma.in mutma.in
ghar meñ 'at.har' mile haiñ pareshān se
dekhne mein to lagte hain insan se
be-KHabar hain sab apni hi pahchan se
hai tujhe yaad karne ki KHwahish bahut
dil jo ghafil kabhi ho tere dhyan se
dushmani ka koi daw-kari nahin
jit lete hain dushman ko ehsan se
dil mein shafqat ho chahat ho iKHlas ho
ghar ka matlab nahin saz-o-saman se
yun sar-e-rah un se taqabul hua
jaise milta hai anjaan anjaan se
ghar se bahar to the mutmain mutmain
ghar mein 'athar' mile hain pareshan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.