dekhne walon ne kuchh dekha bhi hai
dekhne vāloñ ne kuchh dekhā bhī hai
chashm-e-nargis dīda-e-bīnā bhī hai
in dinoñ aalam hai kuchh dil kā ajab
hashr bhī barpā hai sannāTā bhī hai
ik hujūm-e-dostāñ hai aur maiñ
dahr meñ mujh sā koī tanhā bhī hai
har taraf ta.amīr dīvāreñ huiiñ
sochtā ye huuñ kahīñ saayā bhī hai
kyuuñ na ho fikr-o-ḳhayāl-e-tishnagāñ
band mujh meñ pyaas kā dariyā bhī hai
bhuul jā.egā zamāna kyā hameñ
ham ne jo dekhā hai vo likkhā bhī hai
vo bhī 'nashtar' ho ga.e haiñ ajnabī
vo ki jin se dard kā rishta bhī hai
dekhne walon ne kuchh dekha bhi hai
chashm-e-nargis dida-e-bina bhi hai
in dinon aalam hai kuchh dil ka ajab
hashr bhi barpa hai sannaTa bhi hai
ek hujum-e-dostan hai aur main
dahr mein mujh sa koi tanha bhi hai
har taraf tamir diwaren huin
sochta ye hun kahin saya bhi hai
kyun na ho fikr-o-KHayal-e-tishnagan
band mujh mein pyas ka dariya bhi hai
bhul jaega zamana kya hamein
hum ne jo dekha hai wo likkha bhi hai
wo bhi 'nashtar' ho gae hain ajnabi
wo ki jin se dard ka rishta bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.