dekhne walon se bekar hai parda un ka
dekhne walon se bekar hai parda un ka
Munshi Shiv Parshad Wahbi
MORE BYMunshi Shiv Parshad Wahbi
dekhne vāloñ se bekār hai pardā un kā
chār-sū ham ko nazar aatā hai jalva un kā
dekhnā kitnā buland aaj hai rutba un kā
hūreñ kāñdhe pe uThātī haiñ muhāfa un kā
aane jaane se ve kis ke liye ghabrāte haiñ
nahīñ dāḳhil hai kachahrī meñ muchalkā un kā
uñgliyāñ uThne lagīñ mujh pe fishānī jo milī
kaisā añgusht-numā kartā hai chhallā un kā
aur se bolne kī ham se qasam khilvā lī
bātoñ bātoñ meñ nayā chal gayā fiqrā un kā
dekheñ kis āshiq-e-jāñbāz ke sar jaatī hai
ab chaḌhā rahtā hai paa.e pe tapanchā un kā
naqd-e-jāñ māñgte hī un ke maiñ de dūñgā unheñ
har ghaḌī kā na sahūñgā ye taqāzā un kā
ab na kis tarah unheñ aañkh kī putlī samjhūñ
likh liyā hai varaq-e-chashm pe naqsha un kā
tan-e-pur-dāġh ko gulzār na samjhūñ kyūñkar
har ghaḌī dil meñ lagā rahtā hai khaTkā un kā
paañv bhī ghar se nikālā nahīñ ab tak lekin
har galī-kūche meñ hone lagā charchā un kā
aañkh uThā kar na kabhī dekhtā maiñ us ko magar
hūr-e-jannat pe mujhe hotā hai dhokā un kā
machhliyāñ kaan ke baale kī na taireñ kyūñkar
baaḌh par aaya hai ab husn kā dariyā un kā
khul ga.ī aaj mah-o-mehr kī qal.ī ham par
ek dīvāna hai aur ek hai shaidā un kā
jo ki mushtāq tumhāre qad-e-bālā ke haiñ
gaḌ gayā gulshan-e-firdaus meñ jhanDā un kā
ġhair-mumkin hai ki ho jaa.e yahāñ tasfiyya
faisla hashr ke din hogā hamārā un kā
baaḌh rakhvāte haiñ vo apnī sarohī pe abas
qatl ke vāste kaafī hai ishārā un kā
chuum letā maiñ agar dekhtā sān.e.a ke haath
nuur ke sāñche meñ Dhālā hai sarāpā un kā
lillāh al-hamd bar ā.eñgī murādeñ dil kī
aaj kī raat hai kuchh aur irāda un kā
hashr tak muñh na dikhā.eñ mah-o-ḳhurshīd apnā
dekh paa.eñ vo agar rū-e-dil-ārā un kā
chaak karte haiñ garebāñ jo ġham-e-sarvar meñ
hashr ke roz ḳhudā rakkhegā pardā un kā
vo bulāte haiñ agar ġhairoñ ko har dam 'vahbī'
le liyā jā.egā ik roz muchalkā un kā
dekhne walon se bekar hai parda un ka
chaar-su hum ko nazar aata hai jalwa un ka
dekhna kitna buland aaj hai rutba un ka
huren kandhe pe uThati hain muhafa un ka
aane jaane se we kis ke liye ghabraate hain
nahin daKHil hai kachahri mein muchalka un ka
ungliyan uThne lagin mujh pe fishani jo mili
kaisa angusht-numa karta hai chhalla un ka
aur se bolne ki hum se qasam khilwa li
baaton baaton mein naya chal gaya fiqra un ka
dekhen kis aashiq-e-jaanbaz ke sar jati hai
ab chaDha rahta hai pae pe tapancha un ka
naqd-e-jaan mangte hi un ke main de dunga unhen
har ghaDi ka na sahunga ye taqaza un ka
ab na kis tarah unhen aankh ki putli samjhun
likh liya hai waraq-e-chashm pe naqsha un ka
tan-e-pur-dagh ko gulzar na samjhun kyunkar
har ghaDi dil mein laga rahta hai khaTka un ka
panw bhi ghar se nikala nahin ab tak lekin
har gali-kuche mein hone laga charcha un ka
aankh uTha kar na kabhi dekhta main us ko magar
hur-e-jannat pe mujhe hota hai dhoka un ka
machhliyan kan ke baale ki na tairen kyunkar
baDh par aaya hai ab husn ka dariya un ka
khul gai aaj mah-o-mehr ki qali hum par
ek diwana hai aur ek hai shaida un ka
jo ki mushtaq tumhaare qad-e-baala ke hain
gaD gaya gulshan-e-firdaus mein jhanDa un ka
ghair-mumkin hai ki ho jae yahan tasfiyya
faisla hashr ke din hoga hamara un ka
baDh rakhwate hain wo apni sarohi pe abas
qatl ke waste kafi hai ishaara un ka
chum leta main agar dekhta sanea ke hath
nur ke sanche mein Dhaala hai sarapa un ka
lillah al-hamd bar aaengi muraden dil ki
aaj ki raat hai kuchh aur irada un ka
hashr tak munh na dikhaen mah-o-KHurshid apna
dekh paen wo agar ru-e-dil-ara un ka
chaak karte hain gareban jo gham-e-sarwar mein
hashr ke roz KHuda rakkhega parda un ka
wo bulate hain agar ghairon ko har dam 'wahbi'
le liya jaega ek roz muchalka un ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.