dekho apni aankh-michauli ek haqiqat ho gai na
dekho apnī āñkh-michaulī ek haqīqat ho ga.ī nā
tum se mujh ko mujh se tum ko aaj mohabbat ho ga.ī nā
maiñ ne kahā thā dhuup meñ mere saath na tum chal pāoge
mailī mailī tumhārī ujlī chāñd sī sūrat ho ga.ī nā
mahfil meñ hañste haiñ lekin tanhā.ī meñ rote haiñ
ek sī merī aur tumhārī ab ye hālat ho ga.ī nā
dozaḳh meñ pahuñchā.e baḌoñ ko un ke dikhāve ke sajde
bachchoñ ko maañ kī ḳhidmat se hāsil jannat ho ga.ī nā
diid kā maiñ bhūkā huuñ 'hāfiz' us kā ruḳh hai ik luqma
us ko dekhā to puurī āñkhoñ kī zarūrat ho ga.ī nā
dekho apni aankh-michauli ek haqiqat ho gai na
tum se mujh ko mujh se tum ko aaj mohabbat ho gai na
main ne kaha tha dhup mein mere sath na tum chal paoge
maili maili tumhaari ujli chand si surat ho gai na
mahfil mein hanste hain lekin tanhai mein rote hain
ek si meri aur tumhaari ab ye haalat ho gai na
dozaKH mein pahunchae baDon ko un ke dikhawe ke sajde
bachchon ko man ki KHidmat se hasil jannat ho gai na
did ka main bhuka hun 'hafiz' us ka ruKH hai ek luqma
us ko dekha to puri aankhon ki zarurat ho gai na
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.