Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekho ghir kar baadal aa bhi sakta hai

Zakariya Shaz

dekho ghir kar baadal aa bhi sakta hai

Zakariya Shaz

MORE BYZakariya Shaz

    dekho ghir kar bādal aa bhī saktā hai

    aadhī raat vo pāgal aa bhī saktā hai

    yuuñ jo uḌtā phirtā hai tere sar par

    pairoñ meñ ye āñchal aa bhī saktā hai

    raakh ke Dher meñ aag chhupī bhī hotī hai

    ḳhālī aañkh meñ kājal aa bhī saktā hai

    lāzim hai kyā sab pyaas ho ik jaisī

    ho kar koī jal-thal aa bhī saktā hai

    itne moḌ safar meñ dekh chukā huuñ 'shāz'

    mere ḳhayāloñ meñ bal aa bhī saktā hai

    dekho ghir kar baadal aa bhi sakta hai

    aadhi raat wo pagal aa bhi sakta hai

    yun jo uDta phirta hai tere sar par

    pairon mein ye aanchal aa bhi sakta hai

    rakh ke Dher mein aag chhupi bhi hoti hai

    KHali aankh mein kajal aa bhi sakta hai

    lazim hai kya sab ki pyas ho ek jaisi

    ho kar koi jal-thal aa bhi sakta hai

    itne moD safar mein dekh chuka hun 'shaz'

    mere KHayalon mein bal aa bhi sakta hai

    Source :
    • Book : khamoshi ki khidkii se (Pg. 305)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now