dekho kabhi tum us ka bhi aana mere aage
dekho kabhī tum us kā bhī aanā mire aage
jis kā na chale koī bahāna mire aage
raste meñ use duuñ ki nahīñ duuñ ye batāo
sūraj mire pīchhe hai zamāna mire aage
vo shaḳhs jise qais batāte haiñ sabhī log
ab vaqt nahīñ phir kabhī laanā mire aage
achchhā ye sitam mujh ko charāġhoñ kā lagā hai
har shaam tirā aks sajānā mire aage
laatā hai mujhe khīñch ke sahrā bhī shab-o-roz
vahshat bhī pirotī hai fasāna mire aage
dekho kabhi tum us ka bhi aana mere aage
jis ka na chale koi bahana mere aage
raste mein use dun ki nahin dun ye batao
suraj mere pichhe hai zamana mere aage
wo shaKHs jise qais batate hain sabhi log
ab waqt nahin phir kabhi lana mere aage
achchha ye sitam mujh ko charaghon ka laga hai
har sham tera aks sajaana mere aage
lata hai mujhe khinch ke sahra bhi shab-o-roz
wahshat bhi piroti hai fasana mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.