dekho kya diwana hai
dekho kyā dīvāna hai
apnā aap nishāna hai
yuuñ to saath zamāna hai
par ḳhud se begāna hai
us ko kyā samjhāoge
vo ḳhud ek siyānā hai
vo itne din baad milā
mushkil se pahchānā hai
tum se ghar kahlātā thā
ab to sirf gharānā hai
dekho kya diwana hai
apna aap nishana hai
yun to sath zamana hai
par KHud se begana hai
us ko kya samjhaoge
wo KHud ek siyana hai
wo itne din baad mila
mushkil se pahchana hai
tum se ghar kahlata tha
ab to sirf gharana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.