dekho purane KHwab nae KHwab ke liye
dekho purāne ḳhvāb na.e ḳhvāb ke liye
yā'nī nizām-e-gumbad-o-mehrāb ke liye
miTTī ke is badan ko zarūrat kafan kī hai
fursat nahīñ hai atlas-o-kamḳhvāb ke liye
gul terī mehrbānī ho ḳhāroñ pe is qadar
achchhā nahīñ hai bulbul-e-betāb ke liye
dasht-e-junūñ kī raah meñ niklā thā maiñ magar
vāpas palaT ke aa gayā ahbāb ke liye
'ahmar' kahāñ ga.e vo divāne ki rāt-bhar
dar-dar bhaTak rahe the jo shab-tāb ke liye
dekho purane KHwab nae KHwab ke liye
ya'ni nizam-e-gumbad-o-mehrab ke liye
miTTi ke is badan ko zarurat kafan ki hai
fursat nahin hai atlas-o-kamKHwab ke liye
gul teri mehrbani ho KHaron pe is qadar
achchha nahin hai bulbul-e-betab ke liye
dasht-e-junun ki rah mein nikla tha main magar
wapas palaT ke aa gaya ahbab ke liye
'ahmar' kahan gae wo diwane ki raat-bhar
dar-dar bhaTak rahe the jo shab-tab ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.