dekho ye us ka dekhna dekhe se aaega
dekho ye us kā dekhnā dekhe se aa.egā
aur phir jo dekh loge to dekhā na jā.egā
ye aisī manzileñ haiñ ki rasta nahīñ koī
sāmān bāñdh loge to rasta bulā.egā
be-dast-o-pā thā shab maiñ tirī yaad ke sabab
itnā ki lag rahā thā ki tū chhūT jā.egā
kho hī ga.ī zabān ḳhamoshī ke darmiyān
sahrā meñ koī shor bhī kab tak machā.egā
'āmir' tujhe patā hī nahīñ asliyat hai kyā
lekin ye ḳhvāb meñ bhī safar kaT hī jā.egā
dekho ye us ka dekhna dekhe se aaega
aur phir jo dekh loge to dekha na jaega
ye aisi manzilen hain ki rasta nahin koi
saman bandh loge to rasta bulaega
be-dast-o-pa tha shab main teri yaad ke sabab
itna ki lag raha tha ki tu chhuT jaega
kho hi gai zaban KHamoshi ke darmiyan
sahra mein koi shor bhi kab tak machaega
'amir' tujhe pata hi nahin asliyat hai kya
lekin ye KHwab mein bhi safar kaT hi jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.