dekhta bhi hai dushmanon ki tarah
dekhtā bhī hai dushmanoñ kī tarah
mehrbāñ bhī hai dostoñ kī tarah
dil mirā mahv-e-iztirāb hai kyoñ
zehn meñ kyā hai vasvasoñ kī tarah
muskurānā bhī 'aib hai mujh ko
qahqahe bhī haiñ uljhanoñ kī tarah
shab-e-furqat meñ mujh ko aatī hai
koī āvāz dhaḌkanoñ kī tarah
ye jo rim-jhim ghaTā hai sāvan kī
ik jhaḌī sī hai āñsuoñ kī tarah
rāt-bhar ḳhvāb mere kamre meñ
uḌte phirte haiñ jugnuoñ kī tarah
dāman-e-dil pe phaile haiñ 'shāhid'
ḳhushnumā rang titliyoñ kī tarah
dekhta bhi hai dushmanon ki tarah
mehrban bhi hai doston ki tarah
dil mera mahw-e-iztirab hai kyon
zehn mein kya hai waswason ki tarah
muskurana bhi 'aib hai mujh ko
qahqahe bhi hain uljhanon ki tarah
shab-e-furqat mein mujh ko aati hai
koi aawaz dhaDkanon ki tarah
ye jo rim-jhim ghaTa hai sawan ki
ek jhaDi si hai aansuon ki tarah
raat-bhar KHwab mere kamre mein
uDte phirte hain jugnuon ki tarah
daman-e-dil pe phaile hain 'shahid'
KHushnuma rang titliyon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.