dekhta kya hai tu hairat se hamara chehra
dekhtā kyā hai tū hairat se hamārā chehra
ham ne muddat se sajāyā na sañvārā chehra
ye to achchhā hai kī be-rañg hai aañsū varna
kis qadar daaġh liye phirtā hamārā chehra
roz hotā hai guzar ek na.ī āñdhī se
aur aT jaatā hai phir dhuul se saarā chehra
zindagī ek hī chehre pe guzārī ham ne
ham ne pahnā na kabhī ham ne utārā chehra
daaġh lag jaa.e agar koī bhī peshānī par
aa.ina bhī nahīñ kartā hai gavārā chehra
dekhta kya hai tu hairat se hamara chehra
hum ne muddat se sajaya na sanwara chehra
ye to achchha hai ki be-rang hai aansu warna
kis qadar dagh liye phirta hamara chehra
roz hota hai guzar ek nai aandhi se
aur aT jata hai phir dhul se sara chehra
zindagi ek hi chehre pe guzari hum ne
hum ne pahna na kabhi hum ne utara chehra
dagh lag jae agar koi bhi peshani par
aaina bhi nahin karta hai gawara chehra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.