dekhte hain ki ab apni kya haalat hoti hai
dekhte haiñ ki ab apnī kyā hālat hotī hai
yahāñ guzārā hotā hai yā hijrat hotī hai
kyā batlā.eñ jiinā apne shahr ke logoñ kā
jī letā hai jis meñ jitnī himmat hotī hai
be-tauqīr hī Thiik haiñ baabā ham is bastī meñ
jānte haiñ ki kin logoñ kī 'izzat hotī hai
ye manzil thī jis kī ḳhātir itnā bhaTke ham
pīchhe muḌ kar dekhte haiñ to hairat hotī hai
zor-o-zar se 'adl ḳharīdā jā to saktā hai
lekin vo jo andar ek 'adālat hotī hai
dekhte hain ki ab apni kya haalat hoti hai
yahan guzara hota hai ya hijrat hoti hai
kya batlaen jina apne shahr ke logon ka
ji leta hai jis mein jitni himmat hoti hai
be-tauqir hi Thik hain baba hum is basti mein
jaante hain ki kin logon ki 'izzat hoti hai
ye manzil thi jis ki KHatir itna bhaTke hum
pichhe muD kar dekhte hain to hairat hoti hai
zor-o-zar se 'adl KHarida ja to sakta hai
lekin wo jo andar ek 'adalat hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.