Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekhte hain na Thahar jate hain

Seeman Naved

dekhte hain na Thahar jate hain

Seeman Naved

MORE BYSeeman Naved

    dekhte haiñ na Thahar jaate haiñ

    log raste se guzar jaate haiñ

    kitne dariyā haiñ magar āḳhir meñ

    ik samundar meñ utar jaate haiñ

    dekhne kaun hameñ aatā hai

    DhūñDne kis ko idhar jaate haiñ

    dil vahshat bhī ajab vahshat hai

    saath rahtī hai jidhar jaate haiñ

    manzileñ gard meñ kho jaatī haiñ

    rāste dhuup se bhar jaate haiñ

    din nikaltā hai kahāñ se 'sīmān'

    shaam ke saa.e kidhar jaate haiñ

    dekhte hain na Thahar jate hain

    log raste se guzar jate hain

    kitne dariya hain magar aaKHir mein

    ek samundar mein utar jate hain

    dekhne kaun hamein aata hai

    DhunDne kis ko idhar jate hain

    dil ki wahshat bhi ajab wahshat hai

    sath rahti hai jidhar jate hain

    manzilen gard mein kho jati hain

    raste dhup se bhar jate hain

    din nikalta hai kahan se 'siman'

    sham ke sae kidhar jate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now