dekhte hi dekhte KHushbu ke paikar mar gae
dekhte hi dekhte KHushbu ke paikar mar gae
Mohammad Siddiq Naqvi
MORE BYMohammad Siddiq Naqvi
dekhte hī dekhte ḳhushbū ke paikar mar ga.e
jis jagah sahrā ubhar aa.e samundar mar ga.e
TuuT kar milnā nahīñ mumkin huā us shaḳhs se
dil meñ ye rakkhe tamanna apne andar mar ga.e
naam par maz.hab ke khelā hai siyāsat ne ye khel
fitna-parvar bach ga.e aur amn-parvar mar ga.e
manzil-e-maqsūd tak jo kar rahe the rahbarī
rāstoñ kā zahr pī pī kar vo rahbar mar ga.e
jo tamāshā.ī the vo sairāb maujoñ se hue
tishnagī kā dard le kar sab shanāvar mar ga.e
aisī hālat meñ bhalā kyūñkar na hote ham zalīl
jin se ḳhuddārī thī ham meñ aise jauhar mar ga.e
ek lamhe ke liye bhī vo nahīñ aayā qarīñ
aur ham jazbāt kī shiddat se ghuT kar mar ga.e
ab nazar ke sāmne hai ek vīrāñ rahguzar
jo the āñkhoñ meñ mire 'naqvī' vo manzar mar ga.e
dekhte hi dekhte KHushbu ke paikar mar gae
jis jagah sahra ubhar aae samundar mar gae
TuT kar milna nahin mumkin hua us shaKHs se
dil mein ye rakkhe tamanna apne andar mar gae
nam par mazhab ke khela hai siyasat ne ye khel
fitna-parwar bach gae aur amn-parwar mar gae
manzil-e-maqsud tak jo kar rahe the rahbari
raston ka zahr pi pi kar wo rahbar mar gae
jo tamashai the wo sairab maujon se hue
tishnagi ka dard le kar sab shanawar mar gae
aisi haalat mein bhala kyunkar na hote hum zalil
jin se KHuddari thi hum mein aise jauhar mar gae
ek lamhe ke liye bhi wo nahin aaya qarin
aur hum jazbaat ki shiddat se ghuT kar mar gae
ab nazar ke samne hai ek viran rahguzar
jo the aankhon mein mere 'naqwi' wo manzar mar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.