dekhte hi dhaDkanen sari pareshan ho gain
dekhte hī dhaḌkaneñ saarī pareshāñ ho ga.iiñ
terī āñkheñ ai sitamgar āfat-e-jāñ ho ga.iiñ
aa gayā palkoñ pe ashkoñ ke patañgoñ kā hujūm
jab kisī kī yaad kī sham.eñ farozāñ ho ga.iiñ
phir mirī tasbīh ke daane bikhar kar rah ga.e
phir duā.eñ aaj un ke dar kī mehmāñ ho ga.iiñ
un ke har ik lams kā aisā asar mujh par huā
dil kī dīvāreñ sabhī shahr-e-nigārāñ ho ga.iiñ
ye shab-e-tanhā.ī 'sādiq' mujh ko Das letī magar
shukr hai yādeñ dar-e-dil kī nigahbāñ ho ga.iiñ
dekhte hi dhaDkanen sari pareshan ho gain
teri aankhen ai sitamgar aafat-e-jaan ho gain
aa gaya palkon pe ashkon ke patangon ka hujum
jab kisi ki yaad ki shamen farozan ho gain
phir meri tasbih ke dane bikhar kar rah gae
phir duaen aaj un ke dar ki mehman ho gain
un ke har ek lams ka aisa asar mujh par hua
dil ki diwaren sabhi shahr-e-nigaran ho gain
ye shab-e-tanhai 'sadiq' mujh ko Das leti magar
shukr hai yaaden dar-e-dil ki nigahban ho gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.