dekhte rahiye dur jate hue
dekhte rahiye duur jaate hue
yahī honā thā āzmāte hue
jaane ho kaun kaisī hālat meñ
kāñptā huuñ diyā jalāte hue
ek din raakh ho ga.e donoñ
aag ko aag se bujhāte hue
mar ke zinda bache ho kitnī baar
yaad rakhnā thā choT khāte hue
vo jo pahlā charāġh thā ghar kā
bujh gayā raushnī banāte hue
'umr kī rail thī rukī hī nahīñ
sab hue duur paas aate hue
maiñ sitāra banā na tum hue ḳhaak
Dar thā kaisā gale lagāte hue
dekhte rahiye dur jate hue
yahi hona tha aazmate hue
jaane ho kaun kaisi haalat mein
kanpta hun diya jalate hue
ek din rakh ho gae donon
aag ko aag se bujhate hue
mar ke zinda bache ho kitni bar
yaad rakhna tha choT khate hue
wo jo pahla charagh tha ghar ka
bujh gaya raushni banate hue
'umr ki rail thi ruki hi nahin
sab hue dur pas aate hue
main sitara bana na tum hue KHak
Dar tha kaisa gale lagate hue
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 56)
- Author :Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.