dekhti aankhon ne dekha hai shabistanon mein
dekhtī āñkhoñ ne dekhā hai shabistānoñ meñ
jazba marne kā abhī zinda hai parvānoñ meñ
kitnā pur-haul hai māhaul shab-e-furqat kā
ḳhuun bhī ḳhushk huā jaatā hai shiryānoñ meñ
kaam aayā na galā phāḌtā ai shaiḳh tirā
nazar aatī haiñ vahī raunaqeñ mai-ḳhānoñ meñ
sitam-e-tāza pe yuuñ shukr-e-sitam kartā huuñ
jaise ik aur izāfa huā ehsānoñ meñ
ai 'vafā' ahl-e-zabāñ kī hai ināyat ye bhī
ki shumār aaj hamārā hai zabāñ-dānoñ meñ
dekhti aankhon ne dekha hai shabistanon mein
jazba marne ka abhi zinda hai parwanon mein
kitna pur-haul hai mahaul shab-e-furqat ka
KHun bhi KHushk hua jata hai shiryanon mein
kaam aaya na gala phaDta ai shaiKH tera
nazar aati hain wahi raunaqen mai-KHanon mein
sitam-e-taza pe yun shukr-e-sitam karta hun
jaise ek aur izafa hua ehsanon mein
ai 'wafa' ahl-e-zaban ki hai inayat ye bhi
ki shumar aaj hamara hai zaban-danon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.