dekhti hai nigah pani mein
dekhtī hai nigāh paanī meñ
taḳht-e-ālam-panāh paanī meñ
ham se sailāb kā maza pūchho
ham hue haiñ tabāh paanī meñ
kyā samajhte haiñ aap gangā-jal
dhul ga.e kyā gunāh paanī meñ
maiñ sunātā huuñ pattharoñ ko ġhazal
aur hotī hai vaah paanī meñ
kashti-e-dil ko ab panāh kahāñ
lahr hai be-panāh paanī meñ
vo mirī mamlikat meñ aa hī ga.e
maiñ huā bādshāh paanī meñ
mauj hai yā adā hasīnoñ kī
gaah sāhil pe gaah paanī meñ
aa hī jā.egā raah par dariyā
tum nikālo to raah paanī meñ
tū bhī tishna hai aur maiñ bhī huuñ
ḳhuub hogī nibāh paanī meñ
terī ārām-gāh sāhil par
merī ārām-gāh paanī meñ
tū batā kyoñ 'fahīm' Duub gayā
tū rahā hai gavāh paanī meñ
dekhti hai nigah pani mein
taKHt-e-alam-panah pani mein
hum se sailab ka maza puchho
hum hue hain tabah pani mein
kya samajhte hain aap ganga-jal
dhul gae kya gunah pani mein
main sunata hun pattharon ko ghazal
aur hoti hai wah pani mein
kashti-e-dil ko ab panah kahan
lahr hai be-panah pani mein
wo meri mamlikat mein aa hi gae
main hua baadshah pani mein
mauj hai ya ada hasinon ki
gah sahil pe gah pani mein
aa hi jaega rah par dariya
tum nikalo to rah pani mein
tu bhi tishna hai aur main bhi hun
KHub hogi nibah pani mein
teri aaram-gah sahil par
meri aaram-gah pani mein
tu bata kyon 'fahim' Dub gaya
tu raha hai gawah pani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.