dekhun to sara jism sunahra dikhai de
dekhūñ to saarā jism sunahrā dikhā.ī de
sochūñ to qabr jaisā añdherā dikhā.ī de
is shahr-e-ḳhud-kalām ne gūñgā sā kar diyā
har shaḳhs apne aap meñ uljhā dikhā.ī de
ab āḳhirī paḌāv pe hai ye azāb-rut
vo dhuup hai ki saaya bhī jaltā dikhā.ī de
ab ke ufuq pe ḳhushbū ghaTā.eñ uThī to haiñ
shāyad ki har shajar gul-e-naġhma dikhā.ī de
kyā karte aisī dīda-varī ke liye ham 'zamīr'
har āñkhoñ-dekhā sach jise jhūTā dikhā.ī de
dekhun to sara jism sunahra dikhai de
sochun to qabr jaisa andhera dikhai de
is shahr-e-KHud-kalam ne gunga sa kar diya
har shaKHs apne aap mein uljha dikhai de
ab aaKHiri paDaw pe hai ye azab-rut
wo dhup hai ki saya bhi jalta dikhai de
ab ke ufuq pe KHushbu ghaTaen uThi to hain
shayad ki har shajar gul-e-naghma dikhai de
kya karte aisi dida-wari ke liye hum 'zamir'
har aankhon-dekha sach jise jhuTa dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.