dene wale tujhe dena hai to itna de de
dene vaale tujhe denā hai to itnā de de
aa.ina us ko diyā hai mujhe chehra de de
rāste band nazar aate haiñ chāroñ-jānib
mere maulā mujhe ummīd kā tesha de de
pūchhtī haiñ mirī āñkheñ ki tū kab aa.egā
jaate jaate mujhe itnā to dilāsa de de
is tarah dil se nikālā mujhe tū ne jaise
apne hī ghar pe kisī ġhair ko qabza de de
maiñ bhī pyāsā huuñ tire dar pe khaḌā huuñ kab se
tū samundar hai mujhe ek hī qatra de de
mere lahje ne mire qad ko kiyā itnā buland
ab to har dost kī ḳhvāhish hai ki dhakkā de de
dene wale tujhe dena hai to itna de de
aaina us ko diya hai mujhe chehra de de
raste band nazar aate hain chaaron-jaanib
mere maula mujhe ummid ka tesha de de
puchhti hain meri aankhen ki tu kab aaega
jate jate mujhe itna to dilasa de de
is tarah dil se nikala mujhe tu ne jaise
apne hi ghar pe kisi ghair ko qabza de de
main bhi pyasa hun tere dar pe khaDa hun kab se
tu samundar hai mujhe ek hi qatra de de
mere lahje ne mere qad ko kiya itna buland
ab to har dost ki KHwahish hai ki dhakka de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.