dene wale ye zindagi di hai
dene vaale ye zindagī dī hai
yā mire saath dil-lagī kī hai
ham ko ma.alūm hī na thā ye raaz
maut kā naam zindagī bhī hai
āshiyānoñ kī ḳhair ho yā-rab
sahn-e-gulshan meñ raushnī sī hai
ham ne barsoñ jigar jalāyā hai
phir kahīñ dil meñ raushnī kī hai
aap se dostī kā ik mafhūm
saarī duniyā se dushmanī bhī hai
log marte haiñ zindagī ke liye
ham ne mar mar ke zindagī kī hai
ham ko maarā hai āshiqī ne 'jalīs'
log kahte haiñ ḳhud-kushī kī hai
dene wale ye zindagi di hai
ya mere sath dil-lagi ki hai
hum ko malum hi na tha ye raaz
maut ka nam zindagi bhi hai
aashiyanon ki KHair ho ya-rab
sahn-e-gulshan mein raushni si hai
hum ne barson jigar jalaya hai
phir kahin dil mein raushni ki hai
aap se dosti ka ek mafhum
sari duniya se dushmani bhi hai
log marte hain zindagi ke liye
hum ne mar mar ke zindagi ki hai
hum ko mara hai aashiqi ne 'jalis'
log kahte hain KHud-kushi ki hai
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 104)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.