der nahin haram nahin dar nahin aastan nahin
der nahin haram nahin dar nahin aastan nahin
Mukhtar Ashiqi Jaunpuri
MORE BYMukhtar Ashiqi Jaunpuri
der nahīñ haram nahīñ dar nahīñ āstāñ nahīñ
maiñ ne vufūr-e-shauq meñ sajda kiyā kahāñ nahīñ
maanā ki musht-e-ḳhāk huuñ phir bhī mujhe ye faḳhr hai
merī nigāh se pare vus.at-e-do-jahāñ nahīñ
ḳhūn-e-dil-e-ġharīb se sīñch sake na jo chaman
nang-e-chaman hai vo bashar hāsil-e-gulsitāñ nahīñ
bār-e-shab-e-firāq se shīsha-e-dil hai chūr-chūr
phir bhī haiñ muskurāhaTeñ lab pe mire fuġhāñ nahīñ
tere ġham-e-firāq meñ mere laboñ pe āj-kal
naġhma-e-zindagī nahīñ bāda-e-arġhavāñ nahīñ
fasl-e-bahār ke liye maiñ ne bhī ḳhūn-e-dil diyā
daur-e-bahār meñ magar merā kahīñ nishāñ nahīñ
der nahin haram nahin dar nahin aastan nahin
main ne wufur-e-shauq mein sajda kiya kahan nahin
mana ki musht-e-KHak hun phir bhi mujhe ye faKHr hai
meri nigah se pare wusat-e-do-jahan nahin
KHun-e-dil-e-gharib se sinch sake na jo chaman
nang-e-chaman hai wo bashar hasil-e-gulsitan nahin
bar-e-shab-e-firaq se shisha-e-dil hai chur-chur
phir bhi hain muskurahaTen lab pe mere fughan nahin
tere gham-e-firaq mein mere labon pe aaj-kal
naghma-e-zindagi nahin baada-e-arghawan nahin
fasl-e-bahaar ke liye main ne bhi KHun-e-dil diya
daur-e-bahaar mein magar mera kahin nishan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.