der se apni aag mein KHud hi jalta hun
der se apnī aag meñ ḳhud hī jaltā huuñ
huuñ to bharī duniyā meñ lekin tanhā huuñ
ġham kī aag meñ tap kar kitnā nikhrā huuñ
ab mahsūs huā hai maiñ bhī sonā huuñ
bād-e-havādis aisā uḌaa.e phirtī hai
jaise maiñ ik peḌ kā TuuTā pattā huuñ
muddat se jis par koī dastak na huī
yaaro maiñ ghar kā aisā darvāza huuñ
apnī barbādī kā qissa kaise kahūñ
hoñToñ par jo aa na sakā vo naġhma huuñ
maiñ auroñ ke ġham kā mudāvā kyā sochūñ
maiñ to ḳhud apne hī ġham meñ uljhā huuñ
yaaro jaao aur koī dhandā socho
merī vus.at mat naapo maiñ sahrā huuñ
ab to 'mehdī' mujh ko chain se sone do
socho maiñ kitnī rātoñ kā jaagā huuñ
der se apni aag mein KHud hi jalta hun
hun to bhari duniya mein lekin tanha hun
gham ki aag mein tap kar kitna nikhra hun
ab mahsus hua hai main bhi sona hun
baad-e-hawadis aisa uDae phirti hai
jaise main ek peD ka TuTa patta hun
muddat se jis par koi dastak na hui
yaro main ghar ka aisa darwaza hun
apni barbaadi ka qissa kaise kahun
honTon par jo aa na saka wo naghma hun
main auron ke gham ka mudawa kya sochun
main to KHud apne hi gham mein uljha hun
yaro jao aur koi dhanda socho
meri wusat mat napo main sahra hun
ab to 'mehdi' mujh ko chain se sone do
socho main kitni raaton ka jaga hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.