der se hun khaDa uThae hath
der se huuñ khaḌā uThā.e haath
haath lene ko koī aa.e haath
chhuT ga.iiñ kā.enāt kī bāgeñ
us ne hāthoñ se kyā chhuḌā.e haath
vo jinhoñ ne sikhāyā apnā-pan
ho chuke haiñ vahī parā.e haath
kam nahīñ haiñ bulandiyāñ merī
par tire baam tak na jaa.e haath
ek kashkol do du'āoñ kā
is tarah donoñ ne milā.e haath
lams meñ phuul khilte haiñ 'rāval'
niiñd se jab koī jagā.e haath
der se hun khaDa uThae hath
hath lene ko koi aae hath
chhuT gain kaenat ki bagen
us ne hathon se kya chhuDae hath
wo jinhon ne sikhaya apna-pan
ho chuke hain wahi parae hath
kam nahin hain bulandiyan meri
par tere baam tak na jae hath
ek kashkol do du'aon ka
is tarah donon ne milae hath
lams mein phul khilte hain 'rawal'
nind se jab koi jagae hath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.