der tak aaj tere bare mein socha humne
der tak aaj tire baare meñ sochā ham ne
mundamil zaḳhm ko phir aaj kuredā ham ne
zindagī tū hai jo nārāz to haq hai terā
zinda rahne kā nahīñ sīkhā salīqa ham ne
ġharche bāzār kī ik ek dukāñ tak pahuñche
der tak ghūme magar kuchh na ḳharīdā ham ne
baiThe baiThe hī bahut duur talak jā pahuñche
baḌī āsānī se tai kar liyā rasta ham ne
TuuT jaate haiñ to phir TuuT hī jaate haiñ ham
jaane kyoñ ḳhud ko banā rakkhā hai shīsha ham ne
ik ġhazal aisī bhī kah rakkhī hai ham ne jis kā
ek bhī she'r kisī ko na sunāyā ham ne
Tiis uThtī hai to ḳhushbū kā gumāñ hotā hai
dil pe khāyā hai koī zaḳhm anokhā ham ne
tum nahīñ aa.e to phir sālgirah par apnī
ek ik shaḳhs kā lauTā diyā tohfa ham ne
vo nahīñ aa ke bhī aa baiThā hai pahlū meñ 'kamāl'
us ko āvāz na de kar bhī pukārā ham ne
der tak aaj tere bare mein socha hum ne
mundamil zaKHm ko phir aaj kureda hum ne
zindagi tu hai jo naraaz to haq hai tera
zinda rahne ka nahin sikha saliqa hum ne
gharche bazar ki ek ek dukan tak pahunche
der tak ghume magar kuchh na KHarida hum ne
baiThe baiThe hi bahut dur talak ja pahunche
baDi aasani se tai kar liya rasta hum ne
TuT jate hain to phir TuT hi jate hain hum
jaane kyon KHud ko bana rakkha hai shisha hum ne
ek ghazal aisi bhi kah rakkhi hai hum ne jis ka
ek bhi she'r kisi ko na sunaya hum ne
Tis uThti hai to KHushbu ka guman hota hai
dil pe khaya hai koi zaKHm anokha hum ne
tum nahin aae to phir salgirah par apni
ek ek shaKHs ka lauTa diya tohfa hum ne
wo nahin aa ke bhi aa baiTha hai pahlu mein 'kamal'
us ko aawaz na de kar bhi pukara hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.