der tak main tujhe dekhta bhi raha
der tak maiñ tujhe dekhtā bhī rahā
saath ik soch kā silsila bhī rahā
maiñ to jaltā rahā par mirī aag meñ
ek shola tire naam kā bhī rahā
shahr meñ sab se chhoTā thā jo aadmī
apnī tanhā.iyoñ meñ ḳhudā bhī rahā
zindagī yaad rakhnā ki do chaar din
maiñ tire vāste mas.ala bhī rahā
rañg hī rañg thā shahr-e-jāñ kā safar
raah meñ jism kā hādsa bhī rahā
tum se jab guftugū thī to ik ham-suḳhan
koī jaise tumhāre sivā bhī rahā
vo mirā ham-nashīñ ham-navā ham-nafas
bhūñktā bhī rahā kāTtā bhī rahā
der tak main tujhe dekhta bhi raha
sath ek soch ka silsila bhi raha
main to jalta raha par meri aag mein
ek shola tere nam ka bhi raha
shahr mein sab se chhoTa tha jo aadmi
apni tanhaiyon mein KHuda bhi raha
zindagi yaad rakhna ki do chaar din
main tere waste masala bhi raha
rang hi rang tha shahr-e-jaan ka safar
rah mein jism ka hadsa bhi raha
tum se jab guftugu thi to ek ham-suKHan
koi jaise tumhaare siwa bhi raha
wo mera ham-nashin ham-nawa ham-nafas
bhunkta bhi raha kaTta bhi raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.