derina KHwahishon se sajaya gaya mujhe
derīna ḳhvāhishoñ se sajāyā gayā mujhe
maqtal meñ kis fareb se laayā gayā mujhe
bār-e-samar se shāḳh-e-shajar jhuk ga.ī to kyā
maiñ be-samar thā phir bhī jhukāyā gayā mujhe
sayyāra-e-zamīñ hai kahāñ sochtā huuñ maiñ
pātāl meñ falak se girāyā gayā mujhe
maiñ naqsh-e-hijr-e-yār huuñ shab kī fasīl par
jaltā huā charāġh banāyā gayā mujhe
laa.e haiñ reza reza kisī aa.ine ke paas
merā hī jism jaise dikhāyā gayā mujhe
patthar meñ jab gulāb mahakte dikhā diye
ye mo.ajiza nahīñ hai batāyā gayā mujhe
chashmoñ ke paas ho ke bhī pyāsā huuñ maiñ 'zafar'
reg-e-ravāñ kā raqs dikhāyā gayā mujhe
derina KHwahishon se sajaya gaya mujhe
maqtal mein kis fareb se laya gaya mujhe
bar-e-samar se shaKH-e-shajar jhuk gai to kya
main be-samar tha phir bhi jhukaya gaya mujhe
sayyara-e-zamin hai kahan sochta hun main
patal mein falak se giraya gaya mujhe
main naqsh-e-hijr-e-yar hun shab ki fasil par
jalta hua charagh banaya gaya mujhe
lae hain reza reza kisi aaine ke pas
mera hi jism jaise dikhaya gaya mujhe
patthar mein jab gulab mahakte dikha diye
ye moajiza nahin hai bataya gaya mujhe
chashmon ke pas ho ke bhi pyasa hun main 'zafar'
reg-e-rawan ka raqs dikhaya gaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.