des rawan ka hai sine mein chhupa lo na mujhe
des rāvan kā hai siine meñ chhupā lo na mujhe
maiñ koī raam nahīñ ghar se nikālo na mujhe
dar-ba-dar kar ke sabā jaane kahāñ le jaa.e
suunī galiyoñ kī virāsat huuñ uchhālo na mujhe
us ke ḳhanjar kī bahak bhī baḌī jāñ-levā hai
maiñ ki kuchh bhī na sahī sāmne Daalo na mujhe
maiñ tamāsha nahīñ apne liye itnā samjho
phir kabhī dekhnā ai dekhne vaalo na mujhe
ḳhud ko mahsūs kiye jaanā ibādat se sivā
bahtā dariyā huuñ samundar meñ to Daalo na mujhe
des rawan ka hai sine mein chhupa lo na mujhe
main koi ram nahin ghar se nikalo na mujhe
dar-ba-dar kar ke saba jaane kahan le jae
suni galiyon ki wirasat hun uchhaalo na mujhe
us ke KHanjar ki bahak bhi baDi jaan-lewa hai
main ki kuchh bhi na sahi samne Dalo na mujhe
main tamasha nahin apne liye itna samjho
phir kabhi dekhna ai dekhne walo na mujhe
KHud ko mahsus kiye jaana ibaadat se siwa
bahta dariya hun samundar mein to Dalo na mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.