deta hai koi mujhko sada bahar aa
detā hai koī mujh ko sadā bāhar aa
ai mere badan meñ qaid havā bāhar aa
kab se hilā rahā huuñ zanjīr-e-dar-e-shab
tū hī le kar hāthoñ meñ diyā bāhar aa
kyuuñ banā huā hai hadaf zamāne kā
guzrā hai kyā tujh pe sāneha bāhar aa
taaq meñ kab se sajā rahā huuñ yād-e-charāġh
tū hī to hai ik merā āshnā bāhar aa
kab tak tū āsmāñ meñ chhup ke baiThegā
maañg rahā huuñ maiñ kab se du'ā bāhar aa
tujhe yaqīn agar hai apne hone kā
aa ai merī jān-e-be-navā bāhar aa
sañg-e-malāmat se bach jaa.e to jāneñ
'tūr' is shahr-e-munāfiq meñ zarā bāhar aa
deta hai koi mujh ko sada bahar aa
ai mere badan mein qaid hawa bahar aa
kab se hila raha hun zanjir-e-dar-e-shab
tu hi le kar hathon mein diya bahar aa
kyun bana hua hai hadaf zamane ka
guzra hai kya tujh pe saneha bahar aa
taq mein kab se saja raha hun yaad-e-charagh
tu hi to hai ek mera aashna bahar aa
kab tak tu aasman mein chhup ke baiThega
mang raha hun main kab se du'a bahar aa
tujhe yaqin agar hai apne hone ka
aa ai meri jaan-e-be-nawa bahar aa
sang-e-malamat se bach jae to jaanen
'tur' is shahr-e-munafiq mein zara bahar aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.