dete hain dua dard ke mare use kahna
dete haiñ duā dard ke maare use kahnā
palkoñ se zarā bojh utāre use kahnā
ab koī bhī rut bhātī nahīñ dīda-e-dil ko
lagte haiñ sabhī zahr nazāre use kahnā
hotī hī nahīñ ham se mohabbat kī tijārat
is daur meñ haiñ sirf ḳhasāre use kahnā
mumkin hai mire lauT ke aane kā tasavvur
ik baar mujhe dil se pukāre use kahnā
maiñ rañg sajāvaT ke sabhī bhuul chukī huuñ
ab aa ke mirā ruup nikhāre use kahnā
insān bhī ab sāñpoñ kī fitrat meñ Dhale haiñ
har shaḳhs ajab ruup hai dhāre use kahnā
bikhre hue apne hī ḳhad-o-ḳhāl meñ gum huuñ
ā.īne meñ phir aks sañvāre use kahnā
kahnā ki mirī maañg meñ sūraj to nahīñ hai
pahlū meñ sajā de sabhī taare use kahnā
dete hain dua dard ke mare use kahna
palkon se zara bojh utare use kahna
ab koi bhi rut bhati nahin dida-e-dil ko
lagte hain sabhi zahr nazare use kahna
hoti hi nahin hum se mohabbat ki tijarat
is daur mein hain sirf KHasare use kahna
mumkin hai mere lauT ke aane ka tasawwur
ek bar mujhe dil se pukare use kahna
main rang sajawaT ke sabhi bhul chuki hun
ab aa ke mera rup nikhaare use kahna
insan bhi ab sanpon ki fitrat mein Dhale hain
har shaKHs ajab rup hai dhaare use kahna
bikhre hue apne hi KHad-o-KHal mein gum hun
aaine mein phir aks sanware use kahna
kahna ki meri mang mein suraj to nahin hai
pahlu mein saja de sabhi tare use kahna
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.