Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dete hain jis ko KHun-e-jigar kam bahut hi kam

Mohammad Sharfuddin Sahil

dete hain jis ko KHun-e-jigar kam bahut hi kam

Mohammad Sharfuddin Sahil

MORE BYMohammad Sharfuddin Sahil

    dete haiñ jis ko ḳhūn-e-jigar kam bahut kam

    aate haiñ us shajar pe samar kam bahut kam

    baaqī haiñ ab bhī dil pe mire zaḳhm-e-hādsāt

    ehsās-e-dard to hai magar kam bahut kam

    ye munhasir hai kasb-e-halāl-o-harām par

    hotā hai ab duā meñ asar kam bahut kam

    vaa.iz guftugū meñ jo dām-e-fareb hai

    paate haiñ us se log mafar kam bahut kam

    ġhavvās-e-bahr-e-ilm haiñ girdāb-e-hirs meñ

    bāzār meñ haiñ la.al-o-gohar kam bahut kam

    ehsās jin ke dil meñ ho karb-e-yatīm

    is ahd meñ haiñ aise bashar kam bahut kam

    'sāhil' jo mil gayā hai to kuchh qadr kījiye

    is tarah ke haiñ ahl-e-hunar kam bahut kam

    dete hain jis ko KHun-e-jigar kam bahut hi kam

    aate hain us shajar pe samar kam bahut hi kam

    baqi hain ab bhi dil pe mere zaKHm-e-hadsat

    ehsas-e-dard to hai magar kam bahut hi kam

    ye munhasir hai kasb-e-halal-o-haram par

    hota hai ab dua mein asar kam bahut hi kam

    waiz ki guftugu mein jo dam-e-fareb hai

    pate hain us se log mafar kam bahut hi kam

    ghawwas-e-bahr-e-ilm hain girdab-e-hirs mein

    bazar mein hain lal-o-gohar kam bahut hi kam

    ehsas jin ke dil mein ho karb-e-yatim ka

    is ahd mein hain aise bashar kam bahut hi kam

    'sahil' jo mil gaya hai to kuchh qadr kijiye

    is tarah ke hain ahl-e-hunar kam bahut hi kam

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now