deti hai wahshat-e-dil fasl-e-bahaaran ki KHabar
detī hai vahshat-e-dil fasl-e-bahārāñ kī ḳhabar
ab kahāñ vahshiyoñ ko jaib-o-garebāñ kī ḳhabar
ai nasīm-e-saharī saath mirā kyā degī
baaġh se niklā to lā.ūñgā bayābāñ kī ḳhabar
chashm-e-pur-fan ne zamāne pe kiyā vo jaadū
hosh hai diiñ kā kisī ko na hai īmāñ kī ḳhabar
gul pareshānī-e-sumbul pe hañsā karte haiñ
aur rakhte nahīñ ḳhud chāk-e-garebāñ kī ḳhabar
gulshan-e-dahr meñ rāhat bhī hai aur rañj bhī hai
detī hai sub.h-e-vatan shām-e-ġharībāñ kī ḳhabar
deti hai wahshat-e-dil fasl-e-bahaaran ki KHabar
ab kahan wahshiyon ko jaib-o-gareban ki KHabar
ai nasim-e-sahari sath mera kya degi
bagh se nikla to launga bayaban ki KHabar
chashm-e-pur-fan ne zamane pe kiya wo jadu
hosh hai din ka kisi ko na hai iman ki KHabar
gul pareshani-e-sumbul pe hansa karte hain
aur rakhte nahin KHud chaak-e-gareban ki KHabar
gulshan-e-dahr mein rahat bhi hai aur ranj bhi hai
deti hai subh-e-watan sham-e-ghariban ki KHabar
- Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 138)
- Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi
- Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.