dev-qamat bana hua ghumun
dev-qāmat banā huā ghūmūñ
apne qad ko magar chhupā na sakūñ
vo bhī pahchāntā nahīñ hai mujhe
maiñ bhī apnī nazar ko jhuTlā duuñ
haT gayā huuñ madār se apne
ab maiñ yuuñ hī ḳhalā meñ phirtā huuñ
television pe ek chehra hai
kam se kam us ko dekh saktā huuñ
kab se sūkhī paḌī hai ye dhartī
maiñ kisī ke lahū kā pyāsā huuñ
uḌte phirte haiñ har jagah haTiyal
koī farhād hai na ab majnūñ
pūchhtī haiñ bharī-purī saḌkeñ
kaun hai jis ke saath maiñ ghūmūñ
dew-qamat bana hua ghumun
apne qad ko magar chhupa na sakun
wo bhi pahchanta nahin hai mujhe
main bhi apni nazar ko jhuTla dun
haT gaya hun madar se apne
ab main yun hi KHala mein phirta hun
telewision pe ek chehra hai
kam se kam us ko dekh sakta hun
kab se sukhi paDi hai ye dharti
main kisi ke lahu ka pyasa hun
uDte phirte hain har jagah haTiyal
koi farhad hai na ab majnun
puchhti hain bhari-puri saDken
kaun hai jis ke sath main ghumun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.