Dhana tu band mujh pe sitam kar nahin raha
Dhānā tū band mujh pe sitam kar nahīñ rahā
dil hai ki choT khā ke mirā bhar nahīñ rahā
mere baġhair tū hai agar ḳhush to yaad rakh
zinda huuñ maiñ bhī tere binā mar nahīñ rahā
duniyā mire ḳhilāf hai tū bhī nahīñ hai ġham
kyoñ e'tibār tujh ko bhī mujh par nahīñ rahā
jis din se ḳhatm zindagī se ho gayā lagāo
kuchh yuuñ huā ki maut kā bhī Dar nahīñ rahā
tere baġhair aur to nuqsān kuchh nahīñ
merā hī ghar kahīñ se mirā ghar nahīñ rahā
Dhana tu band mujh pe sitam kar nahin raha
dil hai ki choT kha ke mera bhar nahin raha
mere baghair tu hai agar KHush to yaad rakh
zinda hun main bhi tere bina mar nahin raha
duniya mere KHilaf hai tu bhi nahin hai gham
kyon e'tibar tujh ko bhi mujh par nahin raha
jis din se KHatm zindagi se ho gaya lagao
kuchh yun hua ki maut ka bhi Dar nahin raha
tere baghair aur to nuqsan kuchh nahin
mera hi ghar kahin se mera ghar nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.