Dhate hain ab wo zulm-o-sitam kam bahut hi kam
Dhāte haiñ ab vo zulm-o-sitam kam bahut hī kam
yā'nī hai un kā lutf-o-karam kam bahut hī kam
jis raah meñ haiñ ranj-o-alam kam bahut hī kam
uThte haiñ us pe mere qadam kam bahut hī kam
is se murād ye to nahīñ dil hai mutma.in
maanā hai merī aañkh meñ nam kam bahut hī kam
ai dost aur hai tirā dil aur hī zabāñ
ab tujh ko muñh lagā.eñge ham kam bahut hī kam
fard-e-gunāh dekh ke yārab sazā na de
niyyat mirī hai is meñ raqam kam bahut hī kam
haq-go kī baat baat ko iz.hār-e-haq samajh
khaa.e agar ḳhudā kī qasam kam bahut hī kam
rindoñ ke dam se shaiḳh huā chāñd 'iid kā
aatā hai va.az karne ko kam kam bahut hī kam
ab fāqa-mastiyoñ se ye 'ādat sī ho ga.ī
khātā huuñ rizq kī bhī qasam kam bahut hī kam
saaqī kī chashm-e-mast kī hai baat hī kuchh aur
hai us ke aage bāda-e-jam kam bahut hī kam
ai qais agar zamīn-e-ġhazal ho na sañglāḳh
chaltā hai us meñ pā-e-qalam kam bahut hī kam
Dhate hain ab wo zulm-o-sitam kam bahut hi kam
ya'ni hai un ka lutf-o-karam kam bahut hi kam
jis rah mein hain ranj-o-alam kam bahut hi kam
uThte hain us pe mere qadam kam bahut hi kam
is se murad ye to nahin dil hai mutmain
mana hai meri aankh mein nam kam bahut hi kam
ai dost aur hai tera dil aur hi zaban
ab tujh ko munh lagaenge hum kam bahut hi kam
fard-e-gunah dekh ke yarab saza na de
niyyat meri hai is mein raqam kam bahut hi kam
haq-go ki baat baat ko izhaar-e-haq samajh
khae agar KHuda ki qasam kam bahut hi kam
rindon ke dam se shaiKH hua chand 'id ka
aata hai waz karne ko kam kam bahut hi kam
ab faqa-mastiyon se ye 'adat si ho gai
khata hun rizq ki bhi qasam kam bahut hi kam
saqi ki chashm-e-mast ki hai baat hi kuchh aur
hai us ke aage baada-e-jam kam bahut hi kam
ai qais agar zamin-e-ghazal ho na sanglaKH
chalta hai us mein pa-e-qalam kam bahut hi kam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.