dhaDakne wala dil bhi tham gaya hai
dhaḌakne vaalā dil bhī tham gayā hai
chhuḌā kar haath jab hamdam gayā hai
tumhārī yaad kā halkā sā jhoñkā
mirī palkoñ ko karke nam gayā hai
ḳhizāñ jaisā lagā har ek mausam
vo dil ko de ke aisā ġham gayā hai
udhar maañ ne ḳhatā.eñ baḳhsh diiñ phir
idhar beTe kā us ke dam gayā hai
'navāz'-e-be-navā tujh ko mubārak
bulandī par tirā parcham gayā hai
dhaDakne wala dil bhi tham gaya hai
chhuDa kar hath jab hamdam gaya hai
tumhaari yaad ka halka sa jhonka
meri palkon ko karke nam gaya hai
KHizan jaisa laga har ek mausam
wo dil ko de ke aisa gham gaya hai
udhar man ne KHataen baKHsh din phir
idhar beTe ka us ke dam gaya hai
'nawaz'-e-be-nawa tujh ko mubarak
bulandi par tera parcham gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.