dhaDakte dil ko yun dhaDkan sunaya karte hain
dhaḌakte dil ko yuuñ dhaḌkan sunāyā karte haiñ
khulī hoñ bāñheñ to un meñ samāyā karte haiñ
ye chāhatoñ kā chalan siikh lo to achchhā hai
koī manā.e to bas maan jaayā karte haiñ
bahut sī bāteñ nahīñ hotī haiñ batāne kī
ba-taur-e-ḳhās mohabbat chhupāyā karte haiñ
ḳhudā ke vāste tafsīl meñ na jaayā karo
ki jitnā pūchhā ho utnā batāyā karte haiñ
jinheñ ho kahnā ki ruk jaa.eñ sab ko jaane deñ
milā ke haath zarā sā dabāyā karte haiñ
nahīf dil ko sañbhalne kā dījiye mauqa
Thahar Thahar ke ye jalve dikhāyā karte haiñ
agar ye dil ho ki sūraj kī dhuup saaya bane
to apne naam ke paude lagāyā karte haiñ
jinheñ likhā ho kisī ne baḌī mohabbat se
baḌe adab se vo naame jalāyā karte haiñ
vo jin ke dam se guloñ par nikhār aatā ho
bahār aa.e to un ko bulāyā karte haiñ
samajh lo baat chhupā.eñge jhuuT boleñge
jo baat karte hue sar khujāyā karte haiñ
na dekh paanā alag sā baḌhāvā detā hai
charāġh vasl se pahle bujhāyā karte haiñ
mire aziiz ai 'dānish-azīz’ baat samajh
jinheñ ho zo.am unheñ āzmāyā karte haiñ
dhaDakte dil ko yun dhaDkan sunaya karte hain
khuli hon banhen to un mein samaya karte hain
ye chahaton ka chalan sikh lo to achchha hai
koi manae to bas man jaya karte hain
bahut si baaten nahin hoti hain batane ki
ba-taur-e-KHas mohabbat chhupaya karte hain
KHuda ke waste tafsil mein na jaya karo
ki jitna puchha ho utna bataya karte hain
jinhen ho kahna ki ruk jaen sab ko jaane den
mila ke hath zara sa dabaya karte hain
nahif dil ko sanbhalne ka dijiye mauqa
Thahar Thahar ke ye jalwe dikhaya karte hain
agar ye dil ho ki suraj ki dhup saya bane
to apne nam ke paude lagaya karte hain
jinhen likha ho kisi ne baDi mohabbat se
baDe adab se wo name jalaya karte hain
wo jin ke dam se gulon par nikhaar aata ho
bahaar aae to un ko bulaya karte hain
samajh lo baat chhupaenge jhuT bolenge
jo baat karte hue sar khujaya karte hain
na dekh pana alag sa baDhawa deta hai
charagh wasl se pahle bujhaya karte hain
mere aziz ai 'danish-aziz’ baat samajh
jinhen ho zoam unhen aazmaya karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.