dhaDkan ho kar dil se sazish karta hun
dhaḌkan ho kar dil se sāzish kartā huuñ
aur phir jiine kī farmā.ish kartā huuñ
ai ḳhāliq qismat kā taarā chamkā de
roz samay ke juute polish kartā huuñ
gandum kā har daana paanī piitā hai
maiñ mehnat kī itnī bārish kartā huuñ
tum bhī thoḌe aur khilaune le jaao
maiñ bhī thoḌī sī gunjā.ish kartā huuñ
mausam aur ye log mujhe kuchh mohlat deñ
paude peḌ baneñge koshish kartā huuñ
in par merā ḳhūn-pasīna lagtā hai
ye jo maiñ zaḳhmoñ kī poshish kartā huuñ
dhaDkan ho kar dil se sazish karta hun
aur phir jine ki farmaish karta hun
ai KHaliq qismat ka tara chamka de
roz samay ke jute polish karta hun
gandum ka har dana pani pita hai
main mehnat ki itni barish karta hun
tum bhi thoDe aur khilaune le jao
main bhi thoDi si gunjaish karta hun
mausam aur ye log mujhe kuchh mohlat den
paude peD banenge koshish karta hun
in par mera KHun-pasina lagta hai
ye jo main zaKHmon ki poshish karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.