dhaDkan mein dil ki KHud ko jo tashkil kar gaya
dhaDkan mein dil ki KHud ko jo tashkil kar gaya
Hameeda Moeen Rizvi
MORE BYHameeda Moeen Rizvi
dhaḌkan meñ dil kī ḳhud ko jo tashkīl kar gayā
har zāviya nigāh kā tabdīl kar gayā
mere baġhair jis ko thā jiinā muhāl kyoñ
tanhā masāfatoñ kī vo takmīl kar gayā
jis ko masarratoñ kī duā.eñ diiñ umr bhar
dukh kī kitāb vo mujhe tarsīl kar gayā
dasht-e-vafā meñ paañv ke chhāloñ kā kyā shumār
thā azm sañglāḳh ko tahlīl kar gayā
sochā thā apne dil kā bhī ahvāl kuchh kaheñ
chehra bayān dard kī tafsīl kar gayā
guzrā hai haq ke vāste dār-o-rasan se jo
jhūTe ḳhudāoñ kī vahī tazlīl kar gayā
manzar kuchh aise ḳhūñ-chakāñ aa.e nigāh meñ
jaise ki dard ko koī tamsīl kar gayā
dhaDkan mein dil ki KHud ko jo tashkil kar gaya
har zawiya nigah ka tabdil kar gaya
mere baghair jis ko tha jina muhaal kyon
tanha masafaton ki wo takmil kar gaya
jis ko masarraton ki duaen din umr bhar
dukh ki kitab wo mujhe tarsil kar gaya
dasht-e-wafa mein panw ke chhaalon ka kya shumar
tha azm sanglaKH ko tahlil kar gaya
socha tha apne dil ka bhi ahwal kuchh kahen
chehra bayan dard ki tafsil kar gaya
guzra hai haq ke waste dar-o-rasan se jo
jhuTe KHudaon ki wahi tazlil kar gaya
manzar kuchh aise KHun-chakan aae nigah mein
jaise ki dard ko koi tamsil kar gaya
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 305)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.