dhaDkan mein nihan ishq ke aazar se pahle
dhaḌkan meñ nihāñ ishq ke āzār se pahle
ik aur hasīñ ġham hai ġham-e-yār se pahle
fitrat kī tamannā kā jo darpan haiñ vo naġhme
gaatī haiñ havā.eñ dil-e-fankār se pahle
mausam ne to bādal ke abhī bāñdhe haiñ ghuñghrū
dil jhuum uThā hai mirā jhankār se pahle
ham apne ḳhayāloñ meñ the kuchh bhī nahīñ samjhe
maujoñ meñ to halchal sī thī mañjdhār se pahle
sochā hī thā sajde meñ jhukeñ ḳhud mirī āñkheñ
irfān-e-ḳhudā ho gayā dīdār se pahle
gar aap ko tārīḳh samajhnī hai hamārī
shāḳh-e-gul-e-tar dekhiye talvār se pahle
bādal bhī banāne kā hunar siikh lo 'asrār'
sahrā bhī milegā rah-e-dil-dār se pahle
dhaDkan mein nihan ishq ke aazar se pahle
ek aur hasin gham hai gham-e-yar se pahle
fitrat ki tamanna ka jo darpan hain wo naghme
gati hain hawaen dil-e-fankar se pahle
mausam ne to baadal ke abhi bandhe hain ghunghru
dil jhum uTha hai mera jhankar se pahle
hum apne KHayalon mein the kuchh bhi nahin samjhe
maujon mein to halchal si thi manjdhaar se pahle
socha hi tha sajde mein jhuken KHud meri aankhen
irfan-e-KHuda ho gaya didar se pahle
gar aap ko tariKH samajhni hai hamari
shaKH-e-gul-e-tar dekhiye talwar se pahle
baadal bhi banane ka hunar sikh lo 'asrar'
sahra bhi milega rah-e-dil-dar se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.