dhaDkan sa koi dil mein siwa bol raha hai
dhaḌkan sā koī dil meñ sivā bol rahā hai
is saaz meñ ḳhud naġhma-sarā bol rahā hai
khultā hī nahīñ terā tilism-e-lab-o-lahja
kyā jāniye ḳhāmosh hai yā bol rahā hai
har shaḳhs nahīñ daar kā shā.ista vagarna
har shaḳhs ke parde meñ ḳhudā bol rahā hai
ye lafz ki chaḌh kar huā thā guñg zabāñ par
kāġhaz par utārā hai to kyā bol rahā hai
ye vo hī parinda hai ki sādhe hue chup thā
is tarah jo ab ho ke rihā bol rahā hai
ik aur bhī shah-zor se kal ham ne sunā thā
tū aaj ye jo bol baḌā bol rahā hai
'shaukat' hai payāpe jo ravāñ qāfila dam kā
dil sūrat-e-āvāz-e-darā bol rahā hai
dhaDkan sa koi dil mein siwa bol raha hai
is saz mein KHud naghma-sara bol raha hai
khulta hi nahin tera tilism-e-lab-o-lahja
kya jaaniye KHamosh hai ya bol raha hai
har shaKHs nahin dar ka shaista wagarna
har shaKHs ke parde mein KHuda bol raha hai
ye lafz ki chaDh kar hua tha gung zaban par
kaghaz par utara hai to kya bol raha hai
ye wo hi parinda hai ki sadhe hue chup tha
is tarah jo ab ho ke riha bol raha hai
ek aur bhi shah-zor se kal hum ne suna tha
tu aaj ye jo bol baDa bol raha hai
'shaukat' hai payape jo rawan qafila dam ka
dil surat-e-awaz-e-dara bol raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.