dhaDkanen band-e-takalluf se zara aazad kar
dhaḌkaneñ band-e-takalluf se zarā āzād kar
barmalā mumkin nahīñ dil meñ kisī ko yaad kar
zindagī ik dauḌ hai to saañs phūlegī zarūr
yā badal mafhūm is kā yā na phir fariyād kar
har ḳhizāñ kī kokh se hotī hai paidā nau-bahār
dāman-e-ummīd mailā aur na dil nāshād kar
bastiyāñ tū ne ḳhalāoñ meñ basā.īñ bhī to kyā
dil ke vīrānoñ ko dekh un ko bhī kuchh ābād kar
dhaDkanen band-e-takalluf se zara aazad kar
barmala mumkin nahin dil mein kisi ko yaad kar
zindagi ek dauD hai to sans phulegi zarur
ya badal mafhum is ka ya na phir fariyaad kar
har KHizan ki kokh se hoti hai paida nau-bahaar
daman-e-ummid maila aur na dil nashad kar
bastiyan tu ne KHalaon mein basain bhi to kya
dil ke viranon ko dekh un ko bhi kuchh aabaad kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.