dhaDkanen dekh bhaal kar rakh dun
dhaḌkaneñ dekh bhaal kar rakh duuñ
lā tirā dil sañbhāl kar rakh duuñ
tujh ko mujh par yaqīñ na aa.e to
maiñ kaleja nikāl kar rakh duuñ
tere hoñToñ kī pyaas kī ḳhātir
saare dariyā uchhāl kar rakh duuñ
aañch hai is qadar irādoñ meñ
maiñ samundar ubaal kar rakh duuñ
aane vaalī hai raunaq-e-mahfil
mai piyāle meñ Daal kar rakh duuñ
jī to kartā hai ai 'kiran' tujh ko
āftāboñ meñ Dhaal kar rakh duuñ
dhaDkanen dekh bhaal kar rakh dun
la tera dil sanbhaal kar rakh dun
tujh ko mujh par yaqin na aae to
main kaleja nikal kar rakh dun
tere honTon ki pyas ki KHatir
sare dariya uchhaal kar rakh dun
aanch hai is qadar iradon mein
main samundar ubaal kar rakh dun
aane wali hai raunaq-e-mahfil
mai piyale mein Dal kar rakh dun
ji to karta hai ai 'kiran' tujh ko
aaftabon mein Dhaal kar rakh dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.