dhaDkanon ki bas zabani de mujhe
dhaḌkanoñ kī bas zabānī de mujhe
ek pal ko zindagānī de mujhe
chaah kar jo nā-mukammal ho sakī
vo adhūrī sī kī kahānī de mujhe
ho agar mumkin tujhe ai zindagī
ābshāroñ sī ravānī de mujhe
bojh zaḳhmoñ kā liye chaltī rahūñ
yaad kī vo be-karānī de mujhe
har bulandī se baneñ rāheñ na.ī
hausle kuchh āsmānī de mujhe
faḳhr se kirdār likkheñge mirā
vaqt aisī kāmrānī de mujhe
dhaDkanon ki bas zabani de mujhe
ek pal ko zindagani de mujhe
chah kar jo na-mukammal ho saki
wo adhuri si ki kahani de mujhe
ho agar mumkin tujhe ai zindagi
aabshaaron si rawani de mujhe
bojh zaKHmon ka liye chalti rahun
yaad ki wo be-karani de mujhe
har bulandi se banen rahen nai
hausle kuchh aasmani de mujhe
faKHr se kirdar likkhenge mera
waqt aisi kaamrani de mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.