dhaDkanon ki sab kahani KHatm-shud
dhaḌkanoñ kī sab kahānī ḳhatm-shud
merī āñkhoñ kā bhī paanī ḳhatm-shud
mai na.ī laao dukān-e-hijr se
jo paḌī thī kuchh purānī ḳhatm-shud
ye rahī vo jhiil jis kī khoj thī
panchhiyo naql-e-makānī ḳhatm-shud
barf ne sar par baserā kar liyā
ab javānī kī kahānī ḳhatm-shud
shahr-e-dil kī raunaqeñ sab kho ga.iiñ
har tarah kī shādmānī ḳhatm-shud
uñgliyoñ ke bolne se ye huā
sab payām-e-muñh-zabānī ḳhatm-shud
chal ke 'āsif' pūchhte haiñ vaqt se
kab ye hogī rā.egānī ḳhatm-shud
dhaDkanon ki sab kahani KHatm-shud
meri aankhon ka bhi pani KHatm-shud
mai nai lao dukan-e-hijr se
jo paDi thi kuchh purani KHatm-shud
ye rahi wo jhil jis ki khoj thi
panchhiyo naql-e-makani KHatm-shud
barf ne sar par basera kar liya
ab jawani ki kahani KHatm-shud
shahr-e-dil ki raunaqen sab kho gain
har tarah ki shadmani KHatm-shud
ungliyon ke bolne se ye hua
sab payam-e-munh-zabani KHatm-shud
chal ke 'asif' puchhte hain waqt se
kab ye hogi raegani KHatm-shud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.