Dhal chuke suraj ke ehsasat ki
Dhal chuke sūraj ke ehsāsāt kī
hai bahut uljhī kahānī raat kī
sab bikhar jā.eñge motī farsh par
khol duuñ gar poTlī jazbāt kī
rakh dī hai izzat jinhoñne taak pe
baat karte haiñ vahī auqāt kī
apnī mehnat par bharosa hai hameñ
hai nahīñ ḳhvāhish kisī ḳhairāt kī
ho gayā aadī 'sachin' dil dard kā
aañkh aadī ho ga.ī barsāt kī
Dhal chuke suraj ke ehsasat ki
hai bahut uljhi kahani raat ki
sab bikhar jaenge moti farsh par
khol dun gar poTli jazbaat ki
rakh di hai izzat jinhonne tak pe
baat karte hain wahi auqat ki
apni mehnat par bharosa hai hamein
hai nahin KHwahish kisi KHairaat ki
ho gaya aadi 'sachin' dil dard ka
aankh aadi ho gai barsat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.